Monday 30 May 2016


HUKMARAANON KO IKHTILAAF KI SOORAT MEIN KIS CHEEZ KE ZAREE’EY FAISLAH KARNA CHAAHIEY ?
-
ALLAAH Ta’aaLaa Farmaata Hai:
-
أَعُوْذُ بِاللّٰهِ مِنَ الشَّـيْطٰنِ الرَّجِيْمِ
-
فَإِنْ تَنَازَعْتُمْ فِي شَيْءٍ فَرُدُّوهُ إِلَى اللَّهِ وَالرَّسُولِ إِنْ كُنْتُمْ تُؤْمِنُونَ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ ۚ ذَٰلِكَ خَيْرٌ وَأَحْسَنُ تَأْوِيلًا
-
“Phir Agar Kisi Cheez Mein IkhtiLaaf Karo Tou Usey Lautaao, ALLAAH Ta’aaLaa Ki Taraf Aur RasooL Ki Taraf, Agar Tumhein ALLAAH Ta’aaLaa Par Aur Qiyaamat Ke Din Par Eemaan Hai. Ye Bohat Bahtar Hai Aur Anjaam Ke I’tibaar Se Bohat Achcha Hai.” [AL-Qur-Aan, 4:59]
-
Ma’Loom Hua Jhagdaa Kisi Cheez Mein Ho, Jitna Bhi Ho, Jaisa Bhi Ho Us Mein FaisLah Ke Liey Sirf Aur Sirf ALLAAH Ta’aaLaa Aur Us Ke RasooL (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Hi Ki Taraf Rujoo’ Karna Hoga, Aur Is Baat Ko ALLAAH Aur Yaum Aakhirat Par Eemaan Ki Shart Qaraar Diya Aur Is Ko Dunya Aur Aakhirat Mein BhaLaai Ka Sabab Qaraar Diya.
-
Phir Jo Loag Is Qaanoon Ke Bajaaey Basharee Qawaaneen (Insaanee Qaanoon) Ke Zaree’ey Apney Ma’aamLaat Ka FaisLah Kartey Hain Woh Kaisey Mumin Hain ? Aur Ye Bhi Farmaaya:
-
أَعُوْذُ بِاللّٰهِ مِنَ الشَّـيْطٰنِ الرَّجِيْمِ
-
فَلَا وَرَبِّكَ لَا يُؤْمِنُونَ حَتَّىٰ يُحَكِّمُوكَ فِيمَا شَجَرَ بَيْنَهُمْ ثُمَّ لَا يَجِدُوا فِي أَنْفُسِهِمْ حَرَجًا مِمَّا قَضَيْتَ وَيُسَلِّمُوا تَسْلِيمًا
-
So Qasam Hai Teyrey Parwardigaar Ki ! Ye Mumin Nahin Ho Saktey, Jab Tak Ke Tamaam Aapas Ke IkhtiLaaf Mein Aap (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ko Haakim Na Maan Lein, Phir Jo FaisLah Aap (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Un Mein Kardein Un Se Apney DiL Mein Kisi Tarah Ki Tangee Aur Naakhushee Na Paaey Aur Farmaabardaaree Ke Saath QubooL KarLein. [AL-Qur-Aan, 4:65]
-

ALLAAH Ta’aaLaa Ne Qasam Uthaa Kar Aur Nafee (Inkaar) Ke ALfaaz Ko Do (2) Baar Isti’maaL Kartey Hue Jhagdon Mein Nabi Rahmat (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ko Haakim Wa FaisaL Na Banaaney WaaLon Ko Khaarij Az Eemaan Qaraar Diya Hai, Aur Aap (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ke FaisLey Ke Saamney Ghair Mashroot (Unconditional) Par Sar TasLeem Kham Karney Ka Hukm Diya.

No comments:

Post a Comment