Thursday 11 June 2015

VALENTINE DAY (Fahaashi Ka Din)


VALENTINE DAY (Fahaashi Ka Din)

"VALENTINE'S DAY"

Ye event "Badkaar" aur "Ayaash" logon ka Din hai.
Quran mein Allah ne farmaaya hai,

"Aur "Khuli" aur "Poshida" Behayai mat karo". (Surah Al Anaam, verse no.151)

Aur farmaaya,

"Zina ke QAREEB bhi MAT jaao". (Surah Bani Israeel, Ayah 32)
Girlfriend banaane ka Maqsad kya hota hai?

Kya koi Ghairat-mand aur Ba-Haya ladka pasand karega ki uski BEHAN (sister) bhi kisi ladke ko apna Valentine banaye?

Rasoolullah (s.a.w.) ne farmaaya: Jab tum mein SHARM, HAYA NA RAHE, toh jo chaahe karo. ( Al-Bukhaari (3484) )

Jisme SHARAM, HAYA NAHI usmein Eemaan NAHI kyunki "Haya" Imaan ki shakhon mai se ek shakh hai.

Abu Hurayrah rivayat karte hain ke Nabi Kareen (Sallalahu Alaihi Wassalam) ne farmaya ke "Imaan ki 70 shakhein hain aur haya oun mai se ek hai" (Sahih Muslim, Kitab Al Imaan:55)

Imam Shafi'ee (Rahimahullah) ne farmaaya: "Zina ek "Qarz" hai jo Teri "Behan" ya "Beti" se wasool kiya jaayega!"

"Bachchiya (daughters) Jab Se Meri Jawaan Hone Lagi, Mujhe Is Daur Ke Taraane Achchhe Nahi Lagte!".

"Qabr Ke Pat'thar Ke Neechey Thi Meri Ayyaashiyan, Aur Mere Aamaal Ka Saaya Mere Bachchon Pe Tha!".

"Ek Yahodi jiska naam "Valentine" tha is ne larka aur larki ke beech "Zina" ko shaadi se pehle "Jaiz" qaraar diya tha, is baat par 14 feburary ko "England" ki government ne isey phansi ki saza di thi. "
Ap log khudi sochein ke kya ap is ghatiya insan ki raah par chalna pasand kareinge Ya Quran O Hadith jaisi khoobsurat aur pakiza kitabon pe amal karna chaheinge?

Nabi kareem (Sallalahu Alaihi Wassalam) ne farmaya: " Jo shakhs jis qoum ki mushabahat ikhtiyar karega wo ounhi mai se hoga." Abu Dawood, 3512

Nabi Kareem (Sallalahu Alaihi Wassalam) ka farman hai ke 3 kisam ke logon ka dakhl Jannat mai nahi hoga "Daimi sharaabi, Maa Baap ka nafarman aur Deyooth (Deyooth wo shakhs hai jo apne bivi bachon, maa'oun aur behnon mai "Behayai" bardasht karta hai)

( [Musnad Ahmad (2/134) No. 6180, Musnad al-Bazzar (12/270) No. 6051, al-Sunnan al-Kubra al-Nasa'i (2/63) No. 2354, al-Mu’jam al-Awsat al-Tabarani (3/51) No. 2443])

Khud bhi is fahashi se bachein aur apne ghar walon ko bhi bachayein.

"Sudhar Jao Musalmano"

Share: VALENTINE DAY (Fahaashi Ka Din)

No comments:

Post a Comment