Monday, 30 May 2016



DAJJAAL KE A’LAAVAH UMMAT KO AUR KIS CHEEZ SE KHATRAH HAI ?
-
Raavi e Hadees Aboo Zarr (رضي اللّٰه عنه),
-
(Unho Ne Kaha) Ke Aek Martabah Main RasooL ALLAAH (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ke Hamraah ChahaL Qadmee Kar Raha Thaa (Ya’nee Saath ChaL Rahey They) Ke Nabi (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ne Farmaaya:
-
"لَغَيْرُ الدَّجَّالِ أَخْوَفُنِى عَلٰى أُمَّتِى."
-
قَالَهَا ثَلَاثًا
-
“DajjaaL Ke A’Laawah Aur Cheez Hai Jis Se Mujhey Apni Ummat Par Sab Se Zyaadah Khatrah Mahsoos Hota Hai.”
-
YE JUMLAH [Aap (صلّى اللّٰه عليه و سلّم)] NE TEEN (3) MARTABAH DOHRAAYA,
-
Mainey Poocha Yaa RasooL ALLAAH ! Woh Kaunsi Cheez Hai Jis Se Aap Ko Apni Ummat Par Sab Se Zyaadah Khatrah Mahsoos Hota Hai, Aur Woh DajjaaL Ke A’Laawah Hai ?
-
Aap (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ne Farmaaya:
-
أَئِمَّةً مُضِلِّينَ.”
-
GUMRAAH KUN A-IMMAH (misguided & astray Scholars)
-
Musnad Imaam Ahmad (رحمه اللّٰه), JiLd: 10, Hadees: 21621, 21622
-
TASHREEH: A-immah MuziLLeen Mein DaakhiL Hai Woh Haakim Jo Qur-Aan Ke KhiLaaf Hukm Dey. Chunaacheh ALLAAH Ta’aaLaa Farmaata Hai:
-
وَمَنْ لَمْ يَحْكُمْ بِمَا أَنْزَلَ اللَّهُ فَأُولَٰئِكَ هُمُ الْكَافِرُونَ
-
“Aur Jo Loag ALLAAH Ke NaaziL Kiey Hue Ahkaam Ke MutaabiQ FaisLah Na Karey Woh (Poorey Aur Pukhtah) Kaafir Hain.” [AL-Qur-Aan, 5:44]
-
Aisey Loagon Ke Liey ALLAAH Ta’aaLaa Ne (Soorah AL-Maa-idah Mein) Teenon Lafz (ZaaLim, FaasiQ Aur Kaafir) Isti’maaL Kar Ke Apney Ghazab Aur Naaraazgee Ka Bharpoor Iz-haar Farmaa Diya, Is Ke Ba’d Bhi Insaan Apney Hi Khud Saakhtah Qawaaneen Yaa Apni Khwaahishaat Hi Ko Ahmiyat Dey Tou Is Se Zyaadah Badd-Qismatee Kya Hogi ?


HUKMARAANON KO IKHTILAAF KI SOORAT MEIN KIS CHEEZ KE ZAREE’EY FAISLAH KARNA CHAAHIEY ?
-
ALLAAH Ta’aaLaa Farmaata Hai:
-
أَعُوْذُ بِاللّٰهِ مِنَ الشَّـيْطٰنِ الرَّجِيْمِ
-
فَإِنْ تَنَازَعْتُمْ فِي شَيْءٍ فَرُدُّوهُ إِلَى اللَّهِ وَالرَّسُولِ إِنْ كُنْتُمْ تُؤْمِنُونَ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ ۚ ذَٰلِكَ خَيْرٌ وَأَحْسَنُ تَأْوِيلًا
-
“Phir Agar Kisi Cheez Mein IkhtiLaaf Karo Tou Usey Lautaao, ALLAAH Ta’aaLaa Ki Taraf Aur RasooL Ki Taraf, Agar Tumhein ALLAAH Ta’aaLaa Par Aur Qiyaamat Ke Din Par Eemaan Hai. Ye Bohat Bahtar Hai Aur Anjaam Ke I’tibaar Se Bohat Achcha Hai.” [AL-Qur-Aan, 4:59]
-
Ma’Loom Hua Jhagdaa Kisi Cheez Mein Ho, Jitna Bhi Ho, Jaisa Bhi Ho Us Mein FaisLah Ke Liey Sirf Aur Sirf ALLAAH Ta’aaLaa Aur Us Ke RasooL (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Hi Ki Taraf Rujoo’ Karna Hoga, Aur Is Baat Ko ALLAAH Aur Yaum Aakhirat Par Eemaan Ki Shart Qaraar Diya Aur Is Ko Dunya Aur Aakhirat Mein BhaLaai Ka Sabab Qaraar Diya.
-
Phir Jo Loag Is Qaanoon Ke Bajaaey Basharee Qawaaneen (Insaanee Qaanoon) Ke Zaree’ey Apney Ma’aamLaat Ka FaisLah Kartey Hain Woh Kaisey Mumin Hain ? Aur Ye Bhi Farmaaya:
-
أَعُوْذُ بِاللّٰهِ مِنَ الشَّـيْطٰنِ الرَّجِيْمِ
-
فَلَا وَرَبِّكَ لَا يُؤْمِنُونَ حَتَّىٰ يُحَكِّمُوكَ فِيمَا شَجَرَ بَيْنَهُمْ ثُمَّ لَا يَجِدُوا فِي أَنْفُسِهِمْ حَرَجًا مِمَّا قَضَيْتَ وَيُسَلِّمُوا تَسْلِيمًا
-
So Qasam Hai Teyrey Parwardigaar Ki ! Ye Mumin Nahin Ho Saktey, Jab Tak Ke Tamaam Aapas Ke IkhtiLaaf Mein Aap (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ko Haakim Na Maan Lein, Phir Jo FaisLah Aap (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Un Mein Kardein Un Se Apney DiL Mein Kisi Tarah Ki Tangee Aur Naakhushee Na Paaey Aur Farmaabardaaree Ke Saath QubooL KarLein. [AL-Qur-Aan, 4:65]
-

ALLAAH Ta’aaLaa Ne Qasam Uthaa Kar Aur Nafee (Inkaar) Ke ALfaaz Ko Do (2) Baar Isti’maaL Kartey Hue Jhagdon Mein Nabi Rahmat (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ko Haakim Wa FaisaL Na Banaaney WaaLon Ko Khaarij Az Eemaan Qaraar Diya Hai, Aur Aap (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ke FaisLey Ke Saamney Ghair Mashroot (Unconditional) Par Sar TasLeem Kham Karney Ka Hukm Diya.

Sunday, 29 May 2016

KYA U’LAMAA/ KI GHAIR MASHROOT (unconditional) ITAA’AT KI JAA SAKTI HAI ?
-
U’Lamaa/ Ki Ghair Mashroot Itaa’at Naa Jaaez Hai.
-
ALLAAH Ta’aaLaa Ne Farmaaya:
-
أَعُوْذُ بِاللّٰهِ مِنَ الشَّـيْطٰنِ الرَّجِيْمِ
-
اتَّخَذُوا أَحْبَارَهُمْ وَرُهْبَانَهُمْ أَرْبَابًا مِنْ دُونِ اللَّهِ وَالْمَسِيحَ ابْنَ مَرْيَمَ وَمَا أُمِرُوا إِلَّا لِيَعْبُدُوا إِلَٰهًا وَاحِدًا ۖ لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ ۚ سُبْحَانَهُ عَمَّا يُشْرِكُونَ
-
Un Loagon Ne ALLAAH Ko Chhord Kar Apney Aa'Limon Aur Darweyshon Ko RABB Banaaya Hai Aur Maryam Ke Beytey Maseeh Ko HaaLaankeh Unhein Sirf Aek (1) AkeyLey ALLAAH Hi Ki I’baadat Ka Hukm Diya Gaya Thaa Jis Ke Siwa Koi Ma’bood Nahin Woh Paak Hai Un Ke Shareek MuQarrar Karney Se. [AL-Qur-Aan, 9:31]
-
Mufassireen Ka IttifaaQ Hai Ke Yahood Aur Nasaaraa Ke “AHBAAR” Aur “RUHBAAN” Apni Taraf Se HaLaaL Aur Haraam Qaraar Deytey They, Aur Loag Un Ki Baat Ko QubooL Kartey They, Ma’Loom Hua Ke U’Lamaa/ Ki Ghair Mashroot Itaa’at Un Ki #I’baadat# Hai Khusoosan Jabkeh Un Ki Wajah Se SHIRK Ko TAUHEED Samajh Kar QubooL Kiya Jaa Raha Ho.