QABRON KO PUKHTA KARNA, US PAR LIKHNA AUR US PAR BAITHNA AUR US PAR CHALNA MANA HAI
HADEETH:
1. Abu Huraira(RA) se Rivayat hai ki Muhammad(saw) ne Farmaya ki Agar koi Ek Angaare par baithe aur Uske Kapde Jal jaye aur Uski Khaal tak pahunche, ye behatar hai, us se ki Woh Qabr par Baithe.
[Sahih Muslim, Vol 2, 2248]
2. Jabir(RA) se Rivayat hai ki Muhammad(saw) ne Qabron ko Pukhta karne, aur us par baithne aur us par Imaarat (building) banane se mana farmaya hai.
[Sahih Muslim, Vol 2, 2245]
3. Abu Marthad al-Ghanawi(RA) se Rivayat hai ki Muhammad (saw) ne Farmaya Qabron par na baitho aur Na Unki taraf Namaz Padho.
[Sahih Muslim, Vol 2, 2251]
4. Abu Al-Hayyaj(RA) se Rivayat hai ki Hazrat Ali(RA) ne Unse Farmaya ki main Tumko us Kaam par Rawana na Karoon Jis par Muhammad(saw) ne mujhko rawana kiya tha, ki kisi bhi Unchi Qabr ko Zameen ke Barabar kiye Baghair Na Chhodhna aur Kisi bhi Ghar mein kisi bhi Tasweer ko Mitaye Baghair Na chorhna.
[Sunan Nasaii, Vol 1, 2035-Sahih]
5. Hazrat Ali(RA) ne Abu Al-Hayyaj Al-Asadi(RA) se Farmaya Main Tumko us Kaam ke liye bhej raha hoon Jis kaam ke liye Muhammad(saw) Ne Mujhe bheja tha, ki tum kisi bhi Unchi Qabr ko Zameen ke barabar kiye baghair na chodhna aur kisi bhi tasweer ko mitaye baghair na chodhna.
[Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1037-Sahih]
6. Jabir(RA) se Rivayat hai ki Muhammad(saw) ne Qabron ko pukhta karne aur us par likhne aur us par Tameer karne aur us par chalne se mana Farmaya hai.
[Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1040-Sahih]
7. Jabir(RA) se Rivayat hai ki Muhammad(saw) ne Qabron ko Pukhta karne , Us par Tameer karne aur us par baithne se mana Farmaya hai.
[Sunan Nasaii, Vol 1 , 2032-Sahih]
Share to others.........
Share: QABRON KO PUKHTA KARNA, US PAR LIKHNA AUR US PAR BAITHNA AUR US PAR CHALNA MANA HAI
Ma'Sha Allah
ReplyDeleteJazak Allah khair