Showing posts with label Roman English Posts. Show all posts
Showing posts with label Roman English Posts. Show all posts

Friday, 3 June 2016


AEK (1) GHALAT FAHMEE JO SHIRK KE DARWAAZEY KHOALTEE HAI !
-
Kuch Loag SHIRK Ko SHIRK Nahin Maantey, Waazih SHIRK Ka Irtikaab Karney Ke Baawajood Kahtey Hain Ke Hum SHIRK Nahin Kartey Aur Woh Apney SHIRK Ka Difaa’ (Defense) Karney Ke Liey Hadees Peysh Kartey Hain Jis Mein ALLAAH Ke Nabi (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ne Farmaaya:
-
وَاللَّهِ مَا أَخَافُ عَلَيْكُمْ أَنْ تُشْرِكُوا بَعْدِي، وَلَكِنِّي أَخَافُ عَلَيْكُمْ أَنْ تَنَافَسُوا فِيهَا
-
Aur Qasam ALLAAH Ki Mujhey Is Ka Darr Nahin Ke Meyrey Ba’d Tum SHIRK Karogey BaLkeh Is Ka Darr Hai Ke Tum Loag Dunya HaasiL Karney Mein Rughbat Karogey.” (Nateejah Ye Ke Aakhirat Se GhaafiL Ho Jaaogey)
-
-
WAZAAHAT: HaaLaankeh Nabi Kareem (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ne Ye Baat Apney Sahaabah Karaam (رضي اللّٰه عنهم) Ke Muta’LLiQ Farmaai Thee, Qiyaamat Tak Aaney WaaLi Ummat Ke Muta’LLiQ Nahin. Is Baat Ko Mazeed Teen (3) Ahaadees Se Samajhtey Hain Jin Mein Ummat Mein SHIRK Ka Saboot MiLta Hai:
-
1st: RasooL ALLAAH (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ne Farmaaya:  “Meyrey RABB Ki Taraf Se Aek (1) Aaney WaaLa Meyrey Paas Aaya Aur Mujhey Aadhee (half) Ummat Jannat Mein DaakhiL Karney Aur Shafaa’at Ke Darmiyaan Ikhtiyaar Diya Tou Mainey Shafaa’at Ko Ikhtiyaar Kiya Aur Ye (Shafaa’at) Har Us Shakhs Ke Liey Hai Jo Is HaaL Mein Maraa Ke Us Ne ALLAAH Ke Saath Kisi Ko Shareek Na Tahraaya.”
-
Tirmizee, Hadees [Saheeh] (2441): http://sunnah.com/urn/726230
-
TASHREEH: Jab Tak Aadmee Mein Aek Zarrah SHIRK Ka BaaQee Hai Woh Shafaa’at Ka MustahaQQ Nahin Aur Nabi (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Shafee’uL-Mushrikeen Nahin Hain.
-
2nd: RasooL ALLAAH (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ne Farmaaya: “Har Nabi Ki Aek (1) Du’aa Hai Jo Zaroor QubooL Hoti Hai Tou Har Aek (1) Nabi Ne JaLdee Kar Ke Woh Du’aa Maang Lee (Dunya Hi Mein) Aur Mainey Apni Du’aa Uthaa Rakhi Hai Qiyaamat Ke Din Ke Waastey Apni Ummat Ki Shafaa’at Ke Liey Aur ALLAAH Chaahey Tou Meyri Shafaa’at Har Aek (1) Ummaatee Ke Liey Hogi Basharteykeh Woh SHIRK Par Na Maraa Ho.”
-
MusLim (491 or 199 a): http://sunnah.com/muslim/1/399
-
3rd: Nabi (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ne Farmaaya: Qiyaamat Tab Tak Nahin Aaeygi Jab Tak Meyri Ummat Mein Se Kuch QabaaiL (QabeeLey) Mushrikon Ke Saath Jaakar Na MiL Jaaein Aur But (Idols) Parastee Ikhtiyaar Na KarLein.”
-
Tirmizee, Hadees [Saheeh] (2219): http://sunnah.com/tirmidhi/33/62


Monday, 30 May 2016



DAJJAAL KE A’LAAVAH UMMAT KO AUR KIS CHEEZ SE KHATRAH HAI ?
-
Raavi e Hadees Aboo Zarr (رضي اللّٰه عنه),
-
(Unho Ne Kaha) Ke Aek Martabah Main RasooL ALLAAH (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ke Hamraah ChahaL Qadmee Kar Raha Thaa (Ya’nee Saath ChaL Rahey They) Ke Nabi (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ne Farmaaya:
-
"لَغَيْرُ الدَّجَّالِ أَخْوَفُنِى عَلٰى أُمَّتِى."
-
قَالَهَا ثَلَاثًا
-
“DajjaaL Ke A’Laawah Aur Cheez Hai Jis Se Mujhey Apni Ummat Par Sab Se Zyaadah Khatrah Mahsoos Hota Hai.”
-
YE JUMLAH [Aap (صلّى اللّٰه عليه و سلّم)] NE TEEN (3) MARTABAH DOHRAAYA,
-
Mainey Poocha Yaa RasooL ALLAAH ! Woh Kaunsi Cheez Hai Jis Se Aap Ko Apni Ummat Par Sab Se Zyaadah Khatrah Mahsoos Hota Hai, Aur Woh DajjaaL Ke A’Laawah Hai ?
-
Aap (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ne Farmaaya:
-
أَئِمَّةً مُضِلِّينَ.”
-
GUMRAAH KUN A-IMMAH (misguided & astray Scholars)
-
Musnad Imaam Ahmad (رحمه اللّٰه), JiLd: 10, Hadees: 21621, 21622
-
TASHREEH: A-immah MuziLLeen Mein DaakhiL Hai Woh Haakim Jo Qur-Aan Ke KhiLaaf Hukm Dey. Chunaacheh ALLAAH Ta’aaLaa Farmaata Hai:
-
وَمَنْ لَمْ يَحْكُمْ بِمَا أَنْزَلَ اللَّهُ فَأُولَٰئِكَ هُمُ الْكَافِرُونَ
-
“Aur Jo Loag ALLAAH Ke NaaziL Kiey Hue Ahkaam Ke MutaabiQ FaisLah Na Karey Woh (Poorey Aur Pukhtah) Kaafir Hain.” [AL-Qur-Aan, 5:44]
-
Aisey Loagon Ke Liey ALLAAH Ta’aaLaa Ne (Soorah AL-Maa-idah Mein) Teenon Lafz (ZaaLim, FaasiQ Aur Kaafir) Isti’maaL Kar Ke Apney Ghazab Aur Naaraazgee Ka Bharpoor Iz-haar Farmaa Diya, Is Ke Ba’d Bhi Insaan Apney Hi Khud Saakhtah Qawaaneen Yaa Apni Khwaahishaat Hi Ko Ahmiyat Dey Tou Is Se Zyaadah Badd-Qismatee Kya Hogi ?


HUKMARAANON KO IKHTILAAF KI SOORAT MEIN KIS CHEEZ KE ZAREE’EY FAISLAH KARNA CHAAHIEY ?
-
ALLAAH Ta’aaLaa Farmaata Hai:
-
أَعُوْذُ بِاللّٰهِ مِنَ الشَّـيْطٰنِ الرَّجِيْمِ
-
فَإِنْ تَنَازَعْتُمْ فِي شَيْءٍ فَرُدُّوهُ إِلَى اللَّهِ وَالرَّسُولِ إِنْ كُنْتُمْ تُؤْمِنُونَ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ ۚ ذَٰلِكَ خَيْرٌ وَأَحْسَنُ تَأْوِيلًا
-
“Phir Agar Kisi Cheez Mein IkhtiLaaf Karo Tou Usey Lautaao, ALLAAH Ta’aaLaa Ki Taraf Aur RasooL Ki Taraf, Agar Tumhein ALLAAH Ta’aaLaa Par Aur Qiyaamat Ke Din Par Eemaan Hai. Ye Bohat Bahtar Hai Aur Anjaam Ke I’tibaar Se Bohat Achcha Hai.” [AL-Qur-Aan, 4:59]
-
Ma’Loom Hua Jhagdaa Kisi Cheez Mein Ho, Jitna Bhi Ho, Jaisa Bhi Ho Us Mein FaisLah Ke Liey Sirf Aur Sirf ALLAAH Ta’aaLaa Aur Us Ke RasooL (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Hi Ki Taraf Rujoo’ Karna Hoga, Aur Is Baat Ko ALLAAH Aur Yaum Aakhirat Par Eemaan Ki Shart Qaraar Diya Aur Is Ko Dunya Aur Aakhirat Mein BhaLaai Ka Sabab Qaraar Diya.
-
Phir Jo Loag Is Qaanoon Ke Bajaaey Basharee Qawaaneen (Insaanee Qaanoon) Ke Zaree’ey Apney Ma’aamLaat Ka FaisLah Kartey Hain Woh Kaisey Mumin Hain ? Aur Ye Bhi Farmaaya:
-
أَعُوْذُ بِاللّٰهِ مِنَ الشَّـيْطٰنِ الرَّجِيْمِ
-
فَلَا وَرَبِّكَ لَا يُؤْمِنُونَ حَتَّىٰ يُحَكِّمُوكَ فِيمَا شَجَرَ بَيْنَهُمْ ثُمَّ لَا يَجِدُوا فِي أَنْفُسِهِمْ حَرَجًا مِمَّا قَضَيْتَ وَيُسَلِّمُوا تَسْلِيمًا
-
So Qasam Hai Teyrey Parwardigaar Ki ! Ye Mumin Nahin Ho Saktey, Jab Tak Ke Tamaam Aapas Ke IkhtiLaaf Mein Aap (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ko Haakim Na Maan Lein, Phir Jo FaisLah Aap (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Un Mein Kardein Un Se Apney DiL Mein Kisi Tarah Ki Tangee Aur Naakhushee Na Paaey Aur Farmaabardaaree Ke Saath QubooL KarLein. [AL-Qur-Aan, 4:65]
-

ALLAAH Ta’aaLaa Ne Qasam Uthaa Kar Aur Nafee (Inkaar) Ke ALfaaz Ko Do (2) Baar Isti’maaL Kartey Hue Jhagdon Mein Nabi Rahmat (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ko Haakim Wa FaisaL Na Banaaney WaaLon Ko Khaarij Az Eemaan Qaraar Diya Hai, Aur Aap (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ke FaisLey Ke Saamney Ghair Mashroot (Unconditional) Par Sar TasLeem Kham Karney Ka Hukm Diya.

Sunday, 29 May 2016

KYA U’LAMAA/ KI GHAIR MASHROOT (unconditional) ITAA’AT KI JAA SAKTI HAI ?
-
U’Lamaa/ Ki Ghair Mashroot Itaa’at Naa Jaaez Hai.
-
ALLAAH Ta’aaLaa Ne Farmaaya:
-
أَعُوْذُ بِاللّٰهِ مِنَ الشَّـيْطٰنِ الرَّجِيْمِ
-
اتَّخَذُوا أَحْبَارَهُمْ وَرُهْبَانَهُمْ أَرْبَابًا مِنْ دُونِ اللَّهِ وَالْمَسِيحَ ابْنَ مَرْيَمَ وَمَا أُمِرُوا إِلَّا لِيَعْبُدُوا إِلَٰهًا وَاحِدًا ۖ لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ ۚ سُبْحَانَهُ عَمَّا يُشْرِكُونَ
-
Un Loagon Ne ALLAAH Ko Chhord Kar Apney Aa'Limon Aur Darweyshon Ko RABB Banaaya Hai Aur Maryam Ke Beytey Maseeh Ko HaaLaankeh Unhein Sirf Aek (1) AkeyLey ALLAAH Hi Ki I’baadat Ka Hukm Diya Gaya Thaa Jis Ke Siwa Koi Ma’bood Nahin Woh Paak Hai Un Ke Shareek MuQarrar Karney Se. [AL-Qur-Aan, 9:31]
-
Mufassireen Ka IttifaaQ Hai Ke Yahood Aur Nasaaraa Ke “AHBAAR” Aur “RUHBAAN” Apni Taraf Se HaLaaL Aur Haraam Qaraar Deytey They, Aur Loag Un Ki Baat Ko QubooL Kartey They, Ma’Loom Hua Ke U’Lamaa/ Ki Ghair Mashroot Itaa’at Un Ki #I’baadat# Hai Khusoosan Jabkeh Un Ki Wajah Se SHIRK Ko TAUHEED Samajh Kar QubooL Kiya Jaa Raha Ho.

Sunday, 6 September 2015

KYA QABARON PAR PHOOL VA CHAADAREIN CHADHAANA SHIRK HAI ?



KYA QABARON PAR PHOOL VA CHAADAREIN CHADHAANA SHIRK HAI ?

Is Ta’LLuQ Se Do (2) Baatein Zahan Mein Rakhein :

1. Agar Qabr Par Chaadar Vaghairah Chadhaaney WaaLey Ki Niyyat Ye Hai Ke Merey Is Kaam Se Mujhey Is Qabr WaaLey Ka Qurb HaasiL Hoga, Ya ALLAAH Taa'Laa Ke Paas Mujhey Uski Shafa’at HaasiL Hogi Tou Uska Yeh Kaam Shirk Akbar Par Mantikh Hoga.

DaLeeL : [Surah Yoonus, Aayat :18 Aur Surah Az-Zumar, Aayat : 3]
-
2. Agar Qabr Par Chaadar Vaghairah Chadhaaney WaaLa Yeh Samajhta Hai Ke IsLaam Ne In Amoor Ki Ta’Leem Di Hai Ya Is Kaam Se Bas Qabr Ki Ta’zeem MaQsood Hai Tou Uska Yeh Kaam Bid’at Par Mantikh Hoga, Kyun Ke Is Qism Ke A’maaL Nabi Kareem (SaLLALLAAHu A'Laihi Wa SaLLam) Ki Sunnat Se Saabit Nahin Hain !
-
ALLaah Humey Saheeh Deen Ko Samajhney Ki SaLaahiyat A'taa Farmaa..Aameen

Share: KYA QABARON PAR PHOOL VA CHAADAREIN CHADHAANA SHIRK HAI ?

QABRON KO PUKHTA KARNA, US PAR LIKHNA AUR US PAR BAITHNA AUR US PAR CHALNA MANA HAI


QABRON KO PUKHTA KARNA, US PAR LIKHNA AUR US PAR BAITHNA AUR US PAR CHALNA MANA HAI
HADEETH:

1. Abu Huraira(RA) se Rivayat hai ki Muhammad(saw) ne Farmaya ki Agar koi Ek Angaare par baithe aur Uske Kapde Jal jaye aur Uski Khaal tak pahunche, ye behatar hai, us se ki Woh Qabr par Baithe.
[Sahih Muslim, Vol 2, 2248]

2. Jabir(RA) se Rivayat hai ki Muhammad(saw) ne Qabron ko Pukhta karne, aur us par baithne aur us par Imaarat (building) banane se mana farmaya hai.
[Sahih Muslim, Vol 2, 2245]

3. Abu Marthad al-Ghanawi(RA) se Rivayat hai ki Muhammad (saw) ne Farmaya Qabron par na baitho aur Na Unki taraf Namaz Padho.
[Sahih Muslim, Vol 2, 2251]

4. Abu Al-Hayyaj(RA) se Rivayat hai ki Hazrat Ali(RA) ne Unse Farmaya ki main Tumko us Kaam par Rawana na Karoon Jis par Muhammad(saw) ne mujhko rawana kiya tha, ki kisi bhi Unchi Qabr ko Zameen ke Barabar kiye Baghair Na Chhodhna aur Kisi bhi Ghar mein kisi bhi Tasweer ko Mitaye Baghair Na chorhna.
[Sunan Nasaii, Vol 1, 2035-Sahih]

5. Hazrat Ali(RA) ne Abu Al-Hayyaj Al-Asadi(RA) se Farmaya Main Tumko us Kaam ke liye bhej raha hoon Jis kaam ke liye Muhammad(saw) Ne Mujhe bheja tha, ki tum kisi bhi Unchi Qabr ko Zameen ke barabar kiye baghair na chodhna aur kisi bhi tasweer ko mitaye baghair na chodhna.
[Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1037-Sahih]

6. Jabir(RA) se Rivayat hai ki Muhammad(saw) ne Qabron ko pukhta karne aur us par likhne aur us par Tameer karne aur us par chalne se mana Farmaya hai.
[Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1040-Sahih]

7. Jabir(RA) se Rivayat hai ki Muhammad(saw) ne Qabron ko Pukhta karne , Us par Tameer karne aur us par baithne se mana Farmaya hai.
[Sunan Nasaii, Vol 1 , 2032-Sahih]

Share to others.........

Share: QABRON KO PUKHTA KARNA, US PAR LIKHNA AUR US PAR BAITHNA AUR US PAR CHALNA MANA HAI

Friday, 7 August 2015

✦............. Aashiq Mizaaj Logon Ke Liye Nasihat .............✦



✦............. Aashiq Mizaaj Logon Ke Liye Nasihat .............✦

◗► Jo ladki aaj tumhari Mohabbat ke chakkar mein Apne Maa, Baap, Bahen, Bhaiyyon Jaisi hasti ko dhoke de sakti hai kal wo tumhein bhi aise hi dhoke de sakti hai.

◗► Jo ladka Aap se pyar Mohabbat aur Ulfat wo Chahat ke sapne dikha raha hai kal ko wo Aap jaisi kitni ladkiyon ke sath aisa karega.

●════════════════════◄►═══════════════════●

Aye Bint-e-Hawwa sambhal khud ko, Ye Ibn-e-Adam hawas ko chahat ka naam dekar, Pyaas apni bujha raha hai, ye Tera daman jala raha hai, Magar tu paikar wafa bani hai, Wafa hi Teri khata bani hai, Tu kitni sada Tu kitni pagal, Tu kis ki baton mein Aarahi hai...? Moqam apna Ganwa rahi hai

Ye Chahaton ka fareib dekar, Tumhare Jazbon se kheilte hain, Apni khuahesh mitane tak ye Tumhari Chahat ko Jheilte hain, Magar ye apni Hawas mita kar Tumhen bhula kar, Shikaar Agla talash te hain Aye Bint-e-Hawwa Sambhal khud ko.

Share: ✦............. Aashiq Mizaaj Logon Ke Liye Nasihat .............✦

Monday, 29 June 2015

"Qabron" Ki Ibadat...

"Qabron" Ki Ibadat...

Aaj ke Qabar parast kehte hai ke Hum “Qabron” ki Ibadat nahi karte Aur hum un Qabar Walon ko Allah nahi samajhte, Unhe Khaliq aur Malik nahi samajhte, Aur Na hi unhe Allah samajh kar unse “Madad” mangte hai, Balke ye Allah ke ‘Neik’ bandey they, Inhe bhi Allah ta’ala ne kuch Ikhtiyaraat dey Rakhe hai aur Hum inke Zariye se Allah ka ‘Khurb’ haasil karte hai

Par In Akhal ke Andhon ko ye tak Nahi pata ke Mushrikin bhi Jin Nabion aur Waliyon ke But (Idol) aur Qabren banakar ‘Pujte’ they, Wo bhi Unhe Allah samajh kar Unki Ibadat aur Unse madad nahi mangte they, balke Mushrik bhi Mantey they ke Zameen wa Asmaan aur saari Kainaat ka Khaaliq, Maalik aur Parvardigaar Sirf Allah hi hai aur wahi wahid Hasti hai jiske haath mein “Kainaat” ki tadbir aur Tasarruf hai

Allah ne Quran mein Farmaya

“Aye Nabi! Inse Puchiye ke Tumko Zameen aur Asmaan se Kon ‘Rizq’ deta hai? Ya wo kon hai Jo Kaano aur Aankhon par Pura ikhtiyaar rakhta hai aur wo kon hai Jo Zindey ko Murdey se nikaalta hai aur murde ko zinde se nikalta hai aur wo kon hai Jo tamaam Kaamo ki tadbir karta hai? Zaroor wo yahi Kahenge ke ‘ALLAH’ to unse kahiye ke phir kyun nahi Darte”(Sureh Yonus, Ayat 31)

“Aye Nabi (sallallahu alaihi wasallam) unse puchiye to sahi, ke Zameen aur uspar rahne waali Maqlooq kiski hai? Batlaao agar Jaante ho? wo Fauran Jawaab denge ke Allah hi ki hai, Kahdijiye ke phir tum ‘Nasihat’ kyun nahi haasil karte, Daryaaft kijiye ke Saaton Asmaanon ka aur bahut baAzmat ‘Arsh’ ka Rab kon hai? Wo log Jawaab denge ke Allah hi hai, Kehdijiye ke phir tum kyun nahi Darte? Puchiye ke Tamaam cheezon ka ikhtiyaar kiske haath mein hai? Wo panaah deta hai aur Jiske muqaable mein koi panah nahi diya jaata, agar tum Jaante ho, to batla do? yahi jawaab denge ke Allah hi hai, kahiye phir tum kidhar se Jaadu kardiye Jaate ho?”(Sureh Mominoon, Ayaat 84-89)

“Agar Aap unse puche ke Asmaan aur Zameen ko kisne Paida kiya hai? To yaqeenan wo yahi Jawaab denge ke Allah ne, Aap unse kahiye ke Accha ye to bataao, Jinhe tum Allah ke siva Pukaarte ho, agar Allah ta’ala mujhe Nuqsaan pahunchana chaahe to kya ye uske nuqsaan ko hata sakte hai? Ya Allah ta’ala mujh par maherbaani ka Iraada kare, to kya ye uski maherbani ko rok sakte hai? Aap kehde ke Allah mujhe Kaafi hai, Tawakkal karne waale usi par tawakkal karte hai”(Sureh Zumar, Ayat 38)

Ab Sawaal ye paida hota hai ke Allah ko Manney ke bawajud wo mushrik Kyun qaraar paye?

Haqiqat ye hai ke Mushrikin e Arab ne Allah ta’ala ke Siva Jin Jin ko Maabud aur Mushkil kusha bana rakha thaa, Wo unko Allah ta’ala ki Maqlooq, uska Mamluk aur ‘banda’ hi Jaante they, phir bhi wo Jahil, Aajke Qabar praston ki tarha ye samajhte they ke ye Log Allah ke Nabi, Wali aur Naik bandey they, Allah ke yahan unhe khaas Mukhaam hasil hai, Is bina par wo bhi kuch ikhtiyaraat apne paas rakhte hai, aur hum unke zariye se Allah ka taqarrub hasil karte hai, unki sifarishon se hamari Zaruraten puri hoti hai

Wo Mushrikin bhi apne Maabudon ke Ikhtiyaraat “Ataayi” samajhte they, Aur wo yahi Aqeeda rakhte they ke in Mabudon ki ye jo taaqat o khuwwat aur jo Ikhtiyaraat aur tasarrufaat hai, Ye Ataayi hai, Allah ne Inhe Ata kiya hai, Zaati taur par wo Iske Maalik nahi hai,

Mushrikin Hajj mein ye Talbiya padha karte they

“Aye Allah Hum haazir hai, Tera koi shareek nahi siwaye us shareek ke jo tera hi hai, tu uska Maalik hai, jin par uski milkiyat aur hukumat hai unka maalik bhi tu hi hai”(Sahi Muslim, Kitabul Hajj)

yaani wo apni Zaat ka bhi Maalik nahi hai, Ye khuwwaten aur ye Ikhtiyaraat tune hi use ata kiye hai, aur jin par uski Milkiyat hai, jin Cheezon ka Wo Maalik hai, Unka Maalik bhi tu hi hai, tune hi use Ata kiya hai, Tere hi diye se wo sabko baant rahe hai, Yaani Aaj ke Qabar parast hanfi barelvi, deobandi sufi etc ki tarha Wo mardud bhi Allah ke saath Shirk karke Yahi kahte they ke Hum un neik bandon ko Khuda samajh kar nahi pujte aur unhe sajda, nazaro niyaz aur Mannat etc Khuda samajh kar nahi mangte, balke ye ikhtiyarat Allah ne unhe Ata kiye hai, Hum to unke zariye se Allah ka Taqarrub haasil karte hai aur bator Wasila aur Sifarish unko Pukaarte hai, Aur Jab in Qabar paraston Ko Koi Quran ki Ayaten batata hai aur Tauheed ki dawat deta hai, to kehte hai ke Ye Aayaten to Buton (idols) ke liye hai
Yaad rakhiye ke Mushrikin Jinke But (idols) aur Qabren banakar pujte aur Madad ke liye pukaarte they, Wo bhi Nabi, Wali, Saleheen hi they, Jinke Marne ke baad log unke but aur Qabaren bana kar pujna shuru kar dete they

Jaise Sureh Nuh mein Panch (5) buton ka Zikr hai Jinhe Nuh Alaihisalam ki Khaaum pujti thi, Jaise “Wadh, Sava, Yaghoos, Ya’ooq aur Nasr” aur Sahi Bukhari mein Sureh Nuh ki tafseer hai, ke Ye Paancho Hazrat Nuh Alaihisalam ki Khaum ke saleheen aur ‘Naik’ logon ke Naam they, Jab Unki Maut hogayi to Shaitaan ne Unke Dil mein daala ke Apni Majlison mein Jahan wo baithte they, unke but Qaayim karle aur Un buton ke Naam apne naik logon ke Naam par rakhlen, Chunanche un logon ne Ayesa hi kiya, Us waqt un buton ki puja nahi hoti thi lekin jab wo log bhi margaye Jinho ne ‘But’ Qayim kiye they aur Ilm logon mein na raha to unki Puja hone Lagi”(Sahi Bukhari 4920)

Hazrat ibn Abbas rz ne kaha ke ‘Laath’ ek shakhs ko kehte they Jo Hajiyon ke liye Sattu gholta tha”(Sahi bukhari 4859)

Aur mushrikin e Makkah bait ullah mein Hazrat Ibrahim Alaihisalam aur Hazrat Ismail Alaihisalam ke But bhi rakh kar pujh rahe they, jab Nabi sallallahu alaihi wasallam Makkah mein dakhil huwe to baitUllah ke chaaron taraf 360 but (idols) they, Rasul Allah sallallahu Alaihi wasallam ne ek ‘Chadee’ (lakdi) se jo haath mein thi, Maarte Jaate they aur Is Ayat ki tilawat karte Jaate ke “Haq khayim hogaya aur baatil Maghlub hogaya, Haq Khayim hogaya aur Batil se Na shuru mein kuch hosaka hai Na Ainda kuch hosakta hai”(4287)
aur Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam baitullah mein us waqt tak Dakhil nahi huwe jabtak us mein but maujud rahe balke Aapne Hukm diya aur buton ko baher nikaal diya gaya, Unhi mein Ek Tasweer Hazrat Ibraheem Aur Hazrat Ismail Alaihisalam ki bhi thi”(Sahi Bukhari 4288)
Hazrat Ayesha rz ne bayaan kiya ke “Jab Nabi sallallahu alaihi wasallam Bimaar huwe to Aapki Baaz Biwiyon ne ek ‘Girjey’ ka Zikr kiya, Jise unho ne Habsha mein dekha thaa, Jiska Naam marya thaa, Umm Salama aur umm Habiba (rz) dono habsha gayi thi, Unho ne Uski Khubsurti aur Us mein Rakhi huwi “Tasaweer” ka bhi zikar kiya, Uspar Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam ne Sar mubarak utha kar farmaya ke “Ye wo log hai ke Jab un mein koi ‘Neik’ shakhs marjata to uski Qabar par Masjid tameer kar dete phir uski ‘Murat’ us mein rakhte, Allah ke Nazdeek ye log Saari Maqlooq mein battareen hai”(Sahi Bukhari 1341)

“Beshak Jinhe tum Allah ko chor kar pukarte ho wo tumhare hi jayse bande hai so agar tum sacche ho to unhe pukaro phir unhe chahiye ke tumhe jawaab dey”(Araaf, Ayat 194)
Aur yahud o Nasara ne Apne Nabiyon ki Qabaron ko Sajdagah banaliya tha, Isi Qabar prasti Mein mubtala hokar wo Allah ta’ala ki Laanat ka Shikaar huwe, Jis tarha Aajke Mardud Qabar parast Allah ki Lanat ka shikaar ho rahe hai
Hazrat Ayesha rz Se riwayat hai ke Nabi sallallahu alaihi wasallam Ne marzul maut me Farmaya “yahood a­ur Nasara par Allah ki laanat ho, unho ne Apne Ambiya ki Qabron ko Ibadat gah banaliya, hazrat Ayesha rz ne kaha ke agar Ayesa Dar na hota, to Aap sallallahu alaihi wasallam ki Qabar khuli rehti, Kyun ke mujhe dar iska hai ke Kahin Aap ki Qabar bhi Sajdagah na banali Jaye”(Sahi Bukhari 1330)

Aur Aajka ye “Laanati” Qabar prast bhi Usi tarha ke ulthe Jawaab deta hai, jis tarha mushrik Nabiyon ko dete they, Jaise Hum unhe Khuda nahi samajhte, Na hi Khuda ke barabar samjhte hai balke Unki Qabar ko Uncha karke uspar Uras, chadhawa, chiraagh, Mela, chadar, jhanda, Qawwali Dance, Music, sajda, Nazro niyaz, janwar Zubah, ibadat Namaz wa Tilawat etc aur unse Mannat aur wasta waseela lete hai aur tarha tarha ke Shirkiya Amaal Isliye karte hai taa’ke Ye Auliya aur Naik log, Hamko Allah ke ‘Khareeb’ pahunchadey aur humko Allah ka Khurb Haasil hojaye Ya Allah ke haan Ye Hamari Sifaarish ­karde, Isi ‘Amal’ ko Allah ta’ala ne “SHIRK” aur Ibadat e ghairullah Kharaar diya hai
Quran mein Mushrikon ke Ye Akhwaal Naql kiye gaye hai,

Allah ne Sureh Zumar Mein farmaya
“Qabardaar! Allah ta’ala hi ke liye Qaalis Ibaadat karna hai aur Jin logon ne Uske siva “Auliya” bana rakhe hai aur kahte hai ke hum unki Ibaadat sirf isliye karte hai ke Hum ko ye (buzrug), Allah ke Khareeb pahunchade”(Sureh Zumar, Ayat 3)
“Aur ye log Allah ko chor kar Ayesi Cheezon ki Ibadat karte hai, Jo unko Na Nafah pahuncha sakte aur Na Nukhsaan aur Kehte hai ke Ye Allah ke paas Hamare “Sifaarshi” hai, Aap kahdijiye ke kya tum Allah ko Ayesi cheez ki Khabar dete ho, Jo Allah ta’ala ko Maalum nahi, Na Asmaan mein aur Na zameen mein, Wo ‘Paak’ aur bartar hai Un logon ke Shirk se”(Sureh Yonus, Ayat 18)
Yaani wo jaante they ke Nafah aur Nukhsaan pahunchane Wala sirf Ek Allah hi hai, lekin In buzrugo ki Shifarish se Allah hamari Zaruraten puri karta hai, Hamari bigdi bana deta hai, Inke Zariye se Allah ka khurb hasil hota hai, yani Wo jinki puja karte they unhe apne aur Allah ke darmiyan wasta wasila samajhte they, na ke Unhi ko khaliq o Malik samajhte they, Balke Wo har cheez ka khalik o Malik sirf Allah hi ko Mante they, aur bohot se Amaal Karte they Jaise unhe Madad ke liye pukarna, Sajda karna, Darbar ka Mujawar bankar baithna, janwar zubah karne, chadhawa, Nazro niyaz etc
Aur Yahi sab kaam unka Shirk thaa, Isi waja se wo Kafir Qaraar paye, unhe Qatl kiya gaya, Qaidi banaya gaya, unse Jangey ladi gayi aur unhe ‘Jahannumi’ Qaraar diya gaya

Bilkul yahi Aqeedey Aaj ke Qabar prast ‘Laanati’ mushrikon ke hai,

Hazrat Ayesha rz Se riwayat hai ke Nabi sallallahu alaihi wasallam Ne marzul maut me Farmaya “Yahood a­ur Nasara par Allah ki laanat ho, unho ne Apne Ambiya ki Qabron ko Ibadat gah banaliya”(Sahi Bukhari)

Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya “Mujh ko had se Na badhana, Jis tarha Eisaiyon ne Hazrat Eisa Alaihisalam ko hadse badha diya, mein sirf ek banda hun, Mujhe tum sirf Allah ka “banda” aur Uska Rasool kahna”(Bukhari aur Muslim)

Hazrat Jaber rz Kahte hai ke Muhammed Sallallahu alaihi wasallam ne “Qabar ko chone se pukhta karne, uspar baithne aur uspar imaarat banane se manah farmaya hai” (muslim)

Abu hayaj Asadi rz Kehte hai ke Mujh se Hazrat Ali rz Ne Farmaya “Mein tumhe is kaam ke liye Na bheyjun jiske liye Rasool ullah Sallallahu alaihi wasallam ne mujhe bheja thaa Aur wo ye ke Kisi mujasme ko zaail kiye baghair Aur Kisi Unchi Qabar ko Zameen ke barabar kiye baghair na chorna”(muslim)
Aur Nabi sallallahu alaihi wasallam ne farmaya “Ya Allah! Meri Qabar ko ‘But’ Na banney dena, Jiski puja ki Jaye”(Masnad Ahmed)

Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya “Meri baat ghour se suno! tum se pehle log apne Ambiya ki Qabron ko ibadat gah hi Tasawwur karte they, khabardar! Tum ayesi ghalti mat karna, mein tumko ayesa karne se sakhti se manah karta hun”(muslim)

lekin in Ghustaqon ne, Aaj Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam ki nafarmani karte huwe, Unchi Qabron ko todne ke bajaye ultha apne buzurgon ki Qabron ko Uncha kar ke Unhe Ibadat gah bana liya hai, wahan Namaz, tilawat, hajj, Sajda, uras, janwar zubah, Nazr o niyaz, chadhawa, khawwali, music baja, dance, Aur tarha tarha ki Ayyashiyan horahi hai, Allah In Mardudon ko Hidayat Ata kare Ameen

aur ye Qabr prast, mushrikin e Makkah se bhi battar hai, Kyun ke wo musibat mein Allah ko pukarliya karte they, lekin Ye Qabr prast Musibat mein bhi ghair ullah ko pukarte hai

“Jab ye log “Kashtiyon” mein Sawaar hote hai, to Allah ta’ala hi ko Pukaarte hai, Uske liye Ibaadat ko ‘Qaalis’ kar ke, phir jab Wo unhe “Khushki” ki taraf bacha laata hai, to usi waqt Shirk karne lagte hai”(Sureh Ankaboot, Ayat 65)

Yaad rakhiye Shirk Itna bada Gunah hai Ke Allah Use Muaaf Nahi karega,

“Allah ke yahan SHIRK ki baqshish hi nahi uske siwa aur sab kuch maaf ho sakta hai jise wo maaf karna chahe”(Sureh Nisa, Ayat 116)

“Aye Nabi! tumhari taraf aur tum se pehle guzre huwe ambiya ki taraf ye “wahi” bheji jaa chuki hai ke agar tumne shirk kiya to tumhare bhi ‘Amaal’ barbaad hojayenge aur tum khasara paane walon me se hojaoge”(Sureh Zumar, Ayat 65)

“Jisne Allah ke saat shirk kiya uspar Allah ne Jannat haraam kardi hai aur uska thikaana jahannum hai”(Sureh Maida, Ayat 72)

“Suno, Allah ke saath Shareek karna wala, goya Asmaan se ‘Gir’ pada, ab ya to use “Parinde” uchak le Jayenge, ya hawa kisi door daraaz ki Jageh phek degi”(Sureh Haj, Ayat 31)

“Aye Nabi! Allah ke saath kisi dusre Maabud ko na pukaaro, warna tum bhi ‘Saza’ paane waalon mein Shaamil hojaoge”(Sureh Shu’ara, Ayat 213)

Tamaam Ambiya ne Apni Ummat ko yahi Dawat di hai ke Allah hi ki Ibadat karo, Uske siwa tumhara koi Ilah nahi,

Allah ne Shirk ko mitaane ke Liye Nabiyon ko bheja, lekin In mardudon ne Ultha Nabiyon hi ki Ibadat karni Shuru kardi,

“kisi Ayese Insaan ko, Jise Allah ta’ala Kitaab wa Hikmat aur Nabuwat dey, Ye Laayeq nahi ke phir bhi wo logon se kahe ke tum Allah ta’ala ko chor kar mere ‘Bande’ ban Jaao, balke wo to Kahega ke tum sab Rab ke hojaao, tumhare kitab Sikhaane ke Baayes aur tumhare kitab padhne ke sabab, Aur ye nahi (ho sakta) ke wo tumhe, Farishton aur Nabiyon ko Rab bana lene ka hukm kare, kya wo tumhare Musalman hone ke baad bhi Tumhe kufr ka hukm dega”(Sureh Aale Imran, Ayaat 79-80)

“Beshak Mein hi Allah hun, Mere siva Ibaadat ke Laayeq aur koyi nahi, Pas tu Meri hi Ibaadat kar, aur Meri yaad ke liye Namaaz Qaayam rakh”(Sureh Taha, Ayat 14)

“Aur wo Din bhi Qaabil e Zikr hai, Jis Roz Hum un sabko Jama karenge, phir Mushrikin se kahenge ke tum aur tumhare ‘Shareek’ apni apni Jageh tehro, phir Hum unke Aapas mein phoot dal denge (yani unki Aqidaten, Adawat mein tabdeel hojayegi) aur unke wo Shurka kahenge ke tum hamari Ibaadat nahi karte they, lehaza hamare aur tumhare darmiyan Allah kaafi hai ‘Gawah’ ke taur par, ke hum ko tumhari ibaadat ki Qabar bhi Na thii, wahan har shakhs Jaan lega ke usne apni Zindagi mein kya kuch kiya tha, aur wo Allah ta’ala ki taraf Jo unka Haqiqi Maalik hai lautaye jayenge aur jo kuch jhoot bandha karte they sob unse (unkezahen se) Ghaib ho jayenge”(Sureh Yonus, Ayat 28-30)

“Aur jo log Allah ta’ala ke Siva Jin ghair ullah ko madad ke liye pukarte hai, wo kisi cheez ko paida nahi kar sakte, balke wo khud paida kiye huwe hai, Murda hai, Zinda nahi hai aur unhe Khabar nahi ke wo khud (Apni Qabron se) kab uthaye Jayenge”(Sureh Nahal, Ayat20-21)

“Suno! Jin Jin ki tum Allah ta’ala ke siva Puja paat kar kahe ho, Wo to tumhari “Rozi” ke Maalik nahi, pas tumhe chahiye ke tum Allah ta’ala hi se Roziya talab karo, aur usi ki Ibaadat karo aur usi ki Shukr guzaari karo, aur usi ki taraf tum tautaaye Jaoge”(Sureh Ankaboot, Ayat 17)

Allah ke siva koi Nabi ya Wali Nafa aur nukhsaan ka Ikhtiyar nahi rakhte Balke Wo khud Allah ko pukaarte hai

“Aap kahdijiye ke Mein to sirf Apne Rab hi ko pukaarta hun aur uske saath kisi ko shareek nahi karta, Kahdijiye ke Mein tumhare liye, Na kisi Nukhsaan ka Ikhtiyaar rakhta hun aur na kisi Bhalayi ka, kah dijiye ke Mujhe hargiz koi Allah se bacha nahi sakta aur mein hargiz uske siva koi Jaaye panah bhi Paa nahi sakta”(Sureh Jinn, Ayat 20-22)

Aur Na hi Allah ke Siva koi Takleef aur musibat ko door kar sakta hai

“Aur agar tujh ko Allah ta’ala koi takleef pahunchaye to usko door karne waala siva Allah ta’ala ke aur koi nahi Aur agar tujh ko Allah ta’ala koi “Nafa” pahunchaye to Wo har cheez par puri Khudrat rakhne Waala hai”(Surey Anaam, Ayat 17)

Aur Jin Jin ki log Allah ta’ala ke siva ibaadat karte hai aur madad ke liye pukarte hai, Unho ne Aasmaan wa zameen main konsi cheez ‘Paida’ ki hai? Koi ek cheez to batlaao?

“Usne Aasmaano ko baghair sutoon ke paida kiya hai, tum unhe dekh rahe ho aur usne Zameen main pahaadon ko daal diya, taa’ke wo tumhe Jumbish na de sake, aur har tarha ke jaandaar zameen main phaila diye aur Hum ne Asmaan se ‘Paani’ barsa kar zameen main har qism ke Nafees Jodey uga diye, Ye hai Allah ki Maqlooq, ab tum mujhe uske siva dusrey kisi ki koyi ‘maqlooq’ to Dikhaao? (kuch nahi) balke ye ‘zaalim’ khuli gumraahi main hai”(Sureh luqmaan, Ayaat 10-11)

“Keh dijiye! Ke Allah ke siva Jin Jin ka tumhe Gumaan hai, Sabko Pukaaro, Wo Asmaanon aur Zameenon mein Zarra barabar bhi Ikhtiyaar nahi rakhte, aur Na unka, un Dono mein koi Hissa hai, aur Na un mein se koi Allah ka Madadgaar hi hai”(Sureh Saba, Ayat 22)

Jab har cheez ka Khaaliq sirf aur sirf Allah hai, to Ibaadat ka mustahiq bhi sirf wohi hai, uske siva kainaat main koi hasti is laayeq nahi ke Uski ibaadat ki Jaye aur use madad ke liye pukaara Jaye

“Hum sirf Teri hi Ibaadat karte hai aur sirf Tujh hi se Madad mangte hai”(Sureh Fatiha, Ayat 5)

Share: "Qabron" Ki Ibadat...

Thursday, 11 June 2015

"AJ KAL KI KHAWATEEN KE PARDA NA KARNE KE BAHANAY"


"AJ KAL KI KHAWATEEN KE PARDA NA KARNE KE BAHANAY"

Buhat hi afsoos ke sath mai ap logon ko batana chahti hoon ke kuch din pehle jab ek Larki ko maine parday ka kaha tou ouske Alfaz kuch yoon the

"Nazar Logon ki Gandi
Aur Parda Mai karoon?"

Kya hogaya hai aj kal ki khawateen ko?
Kya wo bhool gayin hain ke Wo Musalmaan hain?
Kya Wo Bhool gayin hain ke Islam kya hai?
Kya Wo Bhool gayin hain ke Allah ka Qalam kya kehts hai?

Quran O Hadith ki roshni mai Parda Karne ki Daleel:

"Aye Adam ki Aulaad! Hum ne tumahray liye libaas paida kiya hai jo tumahre qabil e parda badan ko chupata hai.Aur Taqwe ka Libas sabse badh kar hai. [Surah Aara’f 7:26]"

"Aye Nabi(Sallalahu Alaihi Wassalam) apni biwiyoon aur apni baaitiyoo ko aur mominoo ki auratoo ko ferma dain keh woh apne oper apni chadrain dal liya karain yeh qareeb ter hai keh un ki pahchan ho jai to unhain na sataya jaye aur Allah bakhshne wala nihayat maherban hai.(SORAH AHZAB-59)"

"Aur jab tum un(Nabi (Sallalahu Alaihi Wassalam) ki biwiyoo) sai koi cheez mango to un sai perdai kaii peechai sai mango.Yeh bat tumharai aur un ke diloo kai liyai zayadah pakeezah hai.(SORAH AHZAB-53)"

"Aur bemaqsad ghar se niklna mana hai-
Aur gharo me qarar se raho. Aur sabiq dor jahiliyat ki saj dhaj na dikhati phiroo. [Surah Al Ahzab 33:33]"

CHAHRE KA PARDA-
Daleel No-1

“Sayyada Asma Binnat e Abu Bakar (raziallahotalaanha) farmati hen k “Hum apne chehro ko mardo se chupaya karti thee”.. (Sahi Ibn e Khuzaima-269)

Daleel No-2

“Hazrat Ayesha r.a farmati hain k safr_e_hajj mai jab ham ahraam bandhnay ja rahi hotin to jab b hajjaj k qafilay hamaray samnay se guzertay to ham chehray per chadar khainch liya karti thin.or jab qafilay guzar jatay to phir ham chehray khol letin”.

SUNAN_IBN_MAJAH-KITAB_UL_MANASIK-BAAB_UL_MEHRMAAT-HADEES 2935.

Daleel No-3

Sahi Bukhari o Sahi Muslim Or kuch hadees ki kitabo men ye riwayat hey k jab Sayyada Ayesha (raziallahotalaanha) par tohmat lagai gai to Allah Tala ne Sure Noor men in k liye “Barraat” nazil ki. ye waqeya “Ufaq” k naam se hadees ki kitabo me bohat mashhoor hai. is me hai k “Sayyada Ayesha (raziallahotalaanha) ne Jungle se wapis akar jab dekha k qafla chala gaya to woh wahi akar beth gai or so gai. Subha ko jab Hazrat Safwaan Bin Muattal Asalmi (raziallahotalaano) ka guzar waha se howa to 1 soye howe insan ko dekh kar us taraf aaye. Sayyada Ayesha (raziallahotalaanha) farmati hen k Jab Safwaan udhar aye to unho ney mujhe dekhtey he pehchan liya. Kyunke parde k hukum se pehle woh mujhe dekh chuke they. Mujhe pehchan kar unho ney “innalillahewainnaaleherajeooon” parha to un ki awaz se meri ankh khul gai or mene apni chadar se apna chehra dhaank liya.

(SAHI BUKHARI- KITAB ALTAFSEER’475- SAHI MUSLIM KITAB ALTOBA’277).

Daleel No-4

Ek khatoon jin ka naam umme khallad razi Allah taala tha’ Nabi akram sale Allah aleh wasallam ki khidmat mein apne betay ka jo qatal ho chuka tha anjaam daryaft karne ayen aur wo naqaab pehnay hue thi. Nabi akram sale Allah aleh wasallam ke aik sahabi razi Allah taala ne un ki is istiqamat pr tajjub karte hue kaha ke naqaab pehan kar aap betay ka haal daryaft karne aayi hain,to unho ne is ke jawab mein farmaya ke mera beta mara hai meri haya nahi mari hai. is ke baad Rasool Allah sale Allah aleh wasallam ne un ko taslli di ke tumahre bete ko do shaheedon ka ajar mile ga. unhon ne daryaft kiya ke aisa kiyon hoga ya Rasool Allah sale Allah aleh wasallam? Aap ne farmaya Isliye ke usko Ahle kitaab ne qatal kiya hai “.( Abu dawud )

ZEENAT:
Zaib o zeenat aur Araish ko zahir karna mana hai.

“Apni zeenat ko khula na rakhain”..[Surah Noor:31]

AANKHON KA PARDA:
Mard aur Aurat ke liye aankh ka parda laazmi hai.

“Aap sww musalman mardon se kah dain ke woh apni nigehain neechi rakhain.

“Aap sww musalman auraton se keh dain k wo apni nigahain neechi rakhain”. [Surah Noor:24:30-31]

“Huzaifa r.a se riwayat hai k Nabi sww ne farmaya k NIGAAH ‘ iblees k zehar alud teeron mai se aik teer hai.jo isay meray khaof se chor day ga mai usko meray khaof se aisa eman ata karu ga k jiski mithaas wo apnay dil mai mehsus karay ga”..
MUSTADRAK HAAKIM.PAGE 314

AURAT KI AWAZ KA PARDA :
Aurton ki aawaz ka bhi parda hai.

guftagu mein mulaimat nah karo kay jis ke dil mein khout hai woh lalach kare balkay maqool andaaz se baat karo. [Surah Ahzab 33:32]

AURAT KA KHUSHBU LAGANA:
“Aurat k liye khushbu laga ker ghar se nikelna jayez nahi.jo aurat aisa kerti hai wo bad_kaar hai”..

TARMAZI.HADEES 2786 SANAN_ABI_DAUD.HADEES 4173

be pard aurat shetan ka shikaar hai.Aurat parda ki cheez hai jab woh ghar se bahar nikalti hai to shetan is ki taak jhaank karta rehta hai. (Tirmizi )

Mai apni tamam muslimah behnon se kehna chahun gi k parda ko apni naik niyati or khuloos samajh ker istimaal karain na k apne oper aik pabandi samajh ker.

Aaj kal boht sari muslimah behnain jo khud per jabbr kar k parda karti hain ya unke parday ki wajah unkay ghar walon ki sakhti hoti hai be shak ghar walo ko chahiye k unko parday ka hukm dain magr sirf sakhti se nahi balke samjha ker. Deen ki taraf la ker ! unko btayen k aik momina or or ghair muslim aurat mai kya farq hota hai, unki rughbat quran-o_deen ki taraf dilayen. Aaj kal muasharti bay raah_o_rawi ki sab se bari wajah yehi hai k khud walaidain or ghar walay hi deen se door hain.Allah ka khof kare aur parde ki pabnaddi kare aur gharo me Deen ka mahol bnaye rakhe.

kuch lOgo ka khayal hai ke “parda to aankh ka hota hai”.”sari baat niyat ki hoti hai”.”aaj kal to parday waliyan zyada kharab hain” etc etc.ye sab jahilana or munafiqaana rawaiye hain aur in sab ki wajah hai deeni ilm ki kammi. Azwaj e Mutahrat ko apna Ideal banaiye aur Unki zindgi se sabaq lein aur parde ki Ahmiyat ko samjhein meri behnon.

Kahin aisa na ho ke Apko jab pahli baar parda udhaya jaye to wo parda Apka KAFAN ho isse pahle hi apni zindgiyo me parde ka ahtemam krein aur dusri bahnon ko bhi iski Hidayat karein.

JAZAKUMULLAHU KHAIRAN

Share: "AJ KAL KI KHAWATEEN KE PARDA NA KARNE KE BAHANAY"

"Jo Hoga Dekha Jayega"


"Jo Hoga Dekha Jayega"

Kitna Bebak hogaya hai aj kal ka insan ! Jab bhi aj kal kisi ko Akhirat se daraya jata hai Allah se daraya jata hai tou ke kehta hai
"Jo Hoga Dekha Jayega"

Kya dekha jayega?
*kya kabar mai jo hoga dekha jayega?
*Kya Na'za ki halat mai jo hoga dekha jayega?
*Hil bhi nahi sakogay ! Jab Janaza le kar ja rahe honge tumhara, Dekha jayega?
*Jab Duniya choot rahi hogi tab dekha jayega?
*Qabar mai Aag lagegi tou kya dekha jayega?
*Qabar mai Sanp aur bichu musalat kiye jainge tab dekha jayega?
*Jis Husan ko duniya bhar mai phelati rehti ho be pardagi ke sath, isi haseen O jameel chehre par jab sanp aur bichu choray jainge tab dekha jayega?

"Dhal Jayegi ye jawani jispe tujhko Naaz hai,
Tu bacha le chahe jitna ! 4 din ka sath hai."

Namazein Qaza karte ho jab samjhate hain tou kehte ho dekha jayega !
*Jab Farishtay koray mareinge tab dekha jayega?
*Jab Pul e sirat se guzrogay tab pta chalega ke kya dekha jayega !

Ek dafa socho tou sahi kya karogay jab dekhogay ke log pul e sirat pe kat kat ke gir rahe hain Jahannum ki aag mai aur agli bari apki hai?
Cheek O Pukar machi howi hai har taraf log gir rahe hain kat kat ke aag ke angaray ubal rahe hain tab humein apne mamlat yad ayeinge ! Tab Yaad ayega ke hum ne kya kya kiya tha kaise guzreinge pul e sirat se  Kya karenge tab
Hazaron salon baad ja kar log jahannum mai pohancheinge itna gehra ghara hai jahannum aur kehte ho dekha jayega :'(

Lekin tab koi faida nahi hoga ! Jitna marzi ro lo jo marzi kar lo tab koi cheez faida nahi degi, tab yaad ayega ke duniya mai kaha karte the ke "Dekha Jayega" !! Har taraf jaoge neeki mangne kahin se nahi milegi tab dekha jayega?

*Qabar ke andhere aur Farishton ke sawalat ke waqt dekha jayega?
Jab Aag ankhon mai bhar di jayegi tab dekha jayega?
*Hamesha ke liye agar Jahannum mil gai tou kya kareinge?  kabhi socha hai? HAMESHA KE LIYE :'(

Kuch Nahi Dekha Jayega ! Mazak Banaya howa hai humne Akhirat ko

"Marne ke liye jiyo, tum tou jeene ke liye jee rahi ho"

Mat bhulo ke marna hai! Khuda ki kasam Marna hai Aur kisi bhi waqt marna hai ! Sab reh jayega yahin aur kehte ho "Dekha Jayega"?

Mazak Mat Samjho "Akhirat" ko, Hosh karo, Abhi bhi waqt hai "Tauba" karlo naikiyan kamalo kahin aisa na ho ke "RAB" ka bulawa ajaye.

Ya Allah Hamare Gunahon ko maaf kar dena, hum is qabil nahi ke Tujhse Teri Jannat mangein bas hamare gunnah baksh de Ya Rab
Ameen Suma' Ameen.

Share: "Jo Hoga Dekha Jayega"

Thursday, 23 April 2015

"ISKA DEEN SE KOI TALUQ NAHI..."



Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu

*** Bismillah hir-Rahman nir-Rahim ***

Arabic Month "Rajab" Shuru Ho Chuka Hai, Rajab Ke Month Me Hone Wali Bidato Se Pehle Aayye Ham Ye Bata Dein Ke Quran O Hadees Me Rajab Ke Talluq Se Kya Cheez Saabit Hai

Quran Me Allah Ne Months Ki Taadaad 12 Bataai Hai,Aur 12 Me Se 4 Months Ko Hurmat Wale Maheene Kaha Hai
(Al-Quran, Surah At-Taubah 9, Ayat 36)

(Hurmat Wale Months Yaani Izzat Aur Ehtaraam Wale Months)
Hurmat Wale Ye 4 Months Kon Se Hain ? Is Ki Wazahat Quran Me Nahi Hai,Balki Is Ki Wazahat Hadees Me Hai K Ye 4 Months Ye Hain :

1-Zul-Qada, 2-Zul-Hijja , 3-Muharram, 4-Rajab
(Sahih Al Bukhari Hadees 3197)
(Sahih Al Muslim Hadees 1679)

Rajab Ke Talluq Se Quran Aur Sahih Hadees Se Sirf Aur Sirf Itna Hi Pata Chalta Hai K Ye Izzat, Ehtaraam Aur Hurmat Wale 4 Maheeno Me Se Ek Maheena Hai.Is Ke Alawa Rajab Ki Kisi Khaas Fazeela Nahi Hai.

Ab Aayye Dekhein K Ilm Ki Kami Ki Waja Se Is Month Me Musalmano Ne Kin Kin Biddato Par Amal Karna Shuru Kar Diya

1- Salat Ul Raghaaib
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
Rajab Ke First Friday Ya Thursday Ko Maghrib Aur Esha Ke Darmiyaan Kuch Log "Salatul Raghaaib" Ke Naam Se Ek Namaz Padhte Hain,Jis Me 12 Rakat Padhte Hain.

Khayaal Rahe K Kisi Bhi Sahi Hadees Se Rajab Ke Month Me "Salat Ul Raghaaib" Naam Se Koi Namaz Saabit Nahi...Lihaaza Hame Is Se Bachna Chahiye.

2- Rajab Ke Koonde
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
Is Month Me Kuch Musalman Jafar Sadiq Ke Naam Se Koonde Bhi Banate Hain,Us Par Niyaz Dilwate Hain Aur Ye Aqeeda Rakhte Hain K Koonde Bharne Ke Baad Ham Jo Muraad Mangenge Wo Poori Hogi...Ye Bhi Bidat Hai,Is Talluq Se Jafar Sadiq Aur Ek : Lakkad-Haare Ka Jo Qissa Bayaan Kiya Jaata Hai Wo Man-Ghadat Hai.

Doosri Baat Ye K Jafar Sadiq Hon Ya Koi Aur Insaan, Walii Peer,Kisi Ko Bhi Shariyat Banane Ka Haq Haasil Nahi...Shariyat Wahi Hai Jis Ka Hukum Allah Aur Rasool Ne Diya Hai...(But Khayaal Rahe K Jafar Sadiq Ki Taraf Mansoob Qissa Bhi Man-Ghadat Hai).Lihaaza Is Month Me Koonde Ki Bidat Se Bhi Hame Bachna Chahiye

BALKI HAQIQAT YE HAI KI RAFIZION (SHIYA) KE YAHAN 22 RAJAB KO KAATIB HZ AMIR MUAWIYA (RA) KI TAREEKH-E-WAFAAT PAR KHUSIYAAN MANAYI JAATI HAI

JISSE GHAFIL HONE KI WAJAH SE BAHUT SE MUSALMAAN RAFIZION (SHION) KE SAATH KISI NA KISI TARAH TYOHAR ME SHAREEQ HO JAATE HAIN,

ISS KHURAFAAT KE ELAWA 27 RAJAB KO BAHUT SE MUSALMAAN ISRA AUR MERAZ-E RASOOL(SAW) KI TAREEKH MUTAIYYAN MAAN KAR BAHUT SE BIDAT AUR KHURAFAAT ANJAM DETE HAIN, JABKI TAREEKH-E-ISRA WA MERAJ ME BADA IKHTELAAF HAI AUR YAQEEN KE SAATH KUCH NAHI KAHA JAA SAKTA HAI, KAM SE KAM MUSALMAN MERAJ KE TAFSILAAT PAR GAUR KAR LEN TO BAHUT SE KABEERA GUNAAHON SE BACH JAANE KA IMKAAN HAI

3- Jashn E Meraaj
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
Kuch Musalman 27 Rajab Ko Rasool Sallallau Alaihi Wasallam Ka "Jashn E Meraaj" Manate Hain,Ye Bhi Bidat Hai,Kyo K Pehli Baat To Ye K Ye Cheez Hi Saabit Nahi K Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Jo Meraaj Hua Tha Wo Rajab Ke Month Me Hua Tha.

Meraj Hua Ye Quran O Hadees Se Saabit Hai,Lekin Kis Month Me Hua Ye Kisi Sahi Hadees Se Saabit Nahi.

Lihaaza Is Tarah Ka Jashn Manane Se Bhi Hame Bachna Chahiye.

(Isii Tarah Khaas Rajab Ke Month Me Kuch Dino Ko Khaas Kar Ke Roza Rakhne Ki Bhi Koi Daleel Nahi Hai)

Deeni Aitabar Se Har Woh Kaam Bidat Hoga Jiska Saboot Quran Aur Hadees Main Nahin Milta

Koi Bhi Kaam Neki Samaj Kar Sawaab Ki Niyyat Se Kiya Jaye,
Jiske Karne Ka Hukm, Na Allah Ke Kalaam Yani Quran-E-Kareem Me Maujood Ho, Aur Nahi Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sunnat Yani Hadees-E- Mubaraka Me Maujood Ho Aur Nahi Sahaba (Ra) Ke Tarikhe Me Maujood Ho, Usko Biddat Kehte Hai.

(Jo log Biddat ko taqseem kar ke Gumrahi pahlarahe hai jaise Bidat e Sayya, Biddat e Hasna un askaas k liye ye Hadees se behtareen aur koyi islaah nahi)

► Abdullah Ibn Umar farmate hain,

Tamam Biddatein gumrahi hai agarche “Ba-Zaahir woh, logon ko acchi lagein

(SUNAN KUBRA BAIHAQI (HADITH138).

Jazak Allahu Khaira.

Share: "ISKA DEEN SE KOI TALUQ NAHI..."

Tuesday, 7 April 2015

"Jo Hoga Dekha Jayega"




"Jo Hoga Dekha Jayega"

Kitna Bebak hogaya hai aj kal ka insan ! Jab bhi aj kal kisi ko Akhirat se daraya jata hai Allah se daraya jata hai tou ke kehta hai
"Jo Hoga Dekha Jayega"

Kya dekha jayega?
*kya kabar mai jo hoga dekha jayega?
*Kya Na'za ki halat mai jo hoga dekha jayega?
*Hil bhi nahi sakogay ! Jab Janaza le kar ja rahe honge tumhara, Dekha jayega?
*Jab Duniya choot rahi hogi tab dekha jayega?
*Qabar mai Aag lagegi tou kya dekha jayega?
*Qabar mai Sanp aur bichu musalat kiye jainge tab dekha jayega?
*Jis Husan ko duniya bhar mai phelati rehti ho be pardagi ke sath, isi haseen O jameel chehre par jab sanp aur bichu choray jainge tab dekha jayega?

"Dhal Jayegi ye jawani jispe tujhko Naaz hai,
Tu bacha le chahe jitna ! 4 din ka sath hai."

Namazein Qaza karte ho jab samjhate hain tou kehte ho dekha jayega !
*Jab Farishtay koray mareinge tab dekha jayega?
*Jab Pul e sirat se guzrogay tab pta chalega ke kya dekha jayega !

Ek dafa socho tou sahi kya karogay jab dekhogay ke log pul e sirat pe kat kat ke gir rahe hain Jahannum ki aag mai aur agli bari apki hai?
Cheek O Pukar machi howi hai har taraf log gir rahe hain kat kat ke aag ke angaray ubal rahe hain tab humein apne mamlat yad ayeinge ! Tab Yaad ayega ke hum ne kya kya kiya tha kaise guzreinge pul e sirat se  Kya karenge tab
Hazaron salon baad ja kar log jahannum mai pohancheinge itna gehra ghara hai jahannum aur kehte ho dekha jayega :'(

Lekin tab koi faida nahi hoga ! Jitna marzi ro lo jo marzi kar lo tab koi cheez faida nahi degi, tab yaad ayega ke duniya mai kaha karte the ke "Dekha Jayega" !! Har taraf jaoge neeki mangne kahin se nahi milegi tab dekha jayega?

*Qabar ke andhere aur Farishton ke sawalat ke waqt dekha jayega?
Jab Aag ankhon mai bhar di jayegi tab dekha jayega?
*Hamesha ke liye agar Jahannum mil gai tou kya kareinge?  kabhi socha hai? HAMESHA KE LIYE :'(

Kuch Nahi Dekha Jayega ! Mazak Banaya howa hai humne Akhirat ko

"Marne ke liye jiyo, tum tou jeene ke liye jee rahi ho"

Mat bhulo ke marna hai! Khuda ki kasam Marna hai Aur kisi bhi waqt marna hai ! Sab reh jayega yahin aur kehte ho "Dekha Jayega"?

Mazak Mat Samjho "Akhirat" ko, Hosh karo, Abhi bhi waqt hai "Tauba" karlo naikiyan kamalo kahin aisa na ho ke "RAB" ka bulawa ajaye.

Ya Allah Hamare Gunahon ko maaf kar dena, hum is qabil nahi ke Tujhse Teri Jannat mangein bas hamare gunnah baksh de Ya Rab
Ameen Suma' Ameen.

"Jo Hoga Dekha Jayega"

Wednesday, 23 October 2013