Monday, 30 May 2016



DAJJAAL KE A’LAAVAH UMMAT KO AUR KIS CHEEZ SE KHATRAH HAI ?
-
Raavi e Hadees Aboo Zarr (رضي اللّٰه عنه),
-
(Unho Ne Kaha) Ke Aek Martabah Main RasooL ALLAAH (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ke Hamraah ChahaL Qadmee Kar Raha Thaa (Ya’nee Saath ChaL Rahey They) Ke Nabi (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ne Farmaaya:
-
"لَغَيْرُ الدَّجَّالِ أَخْوَفُنِى عَلٰى أُمَّتِى."
-
قَالَهَا ثَلَاثًا
-
“DajjaaL Ke A’Laawah Aur Cheez Hai Jis Se Mujhey Apni Ummat Par Sab Se Zyaadah Khatrah Mahsoos Hota Hai.”
-
YE JUMLAH [Aap (صلّى اللّٰه عليه و سلّم)] NE TEEN (3) MARTABAH DOHRAAYA,
-
Mainey Poocha Yaa RasooL ALLAAH ! Woh Kaunsi Cheez Hai Jis Se Aap Ko Apni Ummat Par Sab Se Zyaadah Khatrah Mahsoos Hota Hai, Aur Woh DajjaaL Ke A’Laawah Hai ?
-
Aap (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ne Farmaaya:
-
أَئِمَّةً مُضِلِّينَ.”
-
GUMRAAH KUN A-IMMAH (misguided & astray Scholars)
-
Musnad Imaam Ahmad (رحمه اللّٰه), JiLd: 10, Hadees: 21621, 21622
-
TASHREEH: A-immah MuziLLeen Mein DaakhiL Hai Woh Haakim Jo Qur-Aan Ke KhiLaaf Hukm Dey. Chunaacheh ALLAAH Ta’aaLaa Farmaata Hai:
-
وَمَنْ لَمْ يَحْكُمْ بِمَا أَنْزَلَ اللَّهُ فَأُولَٰئِكَ هُمُ الْكَافِرُونَ
-
“Aur Jo Loag ALLAAH Ke NaaziL Kiey Hue Ahkaam Ke MutaabiQ FaisLah Na Karey Woh (Poorey Aur Pukhtah) Kaafir Hain.” [AL-Qur-Aan, 5:44]
-
Aisey Loagon Ke Liey ALLAAH Ta’aaLaa Ne (Soorah AL-Maa-idah Mein) Teenon Lafz (ZaaLim, FaasiQ Aur Kaafir) Isti’maaL Kar Ke Apney Ghazab Aur Naaraazgee Ka Bharpoor Iz-haar Farmaa Diya, Is Ke Ba’d Bhi Insaan Apney Hi Khud Saakhtah Qawaaneen Yaa Apni Khwaahishaat Hi Ko Ahmiyat Dey Tou Is Se Zyaadah Badd-Qismatee Kya Hogi ?

No comments:

Post a Comment