AEK (1) GHALAT FAHMEE JO SHIRK KE DARWAAZEY KHOALTEE HAI
!
-
Kuch Loag SHIRK Ko SHIRK Nahin Maantey, Waazih SHIRK Ka Irtikaab
Karney Ke Baawajood Kahtey Hain Ke Hum SHIRK Nahin Kartey Aur Woh Apney SHIRK Ka
Difaa’ (Defense) Karney Ke Liey Hadees Peysh Kartey Hain Jis Mein ALLAAH Ke
Nabi (صلّى اللّٰه عليه و
سلّم) Ne Farmaaya:
-
وَاللَّهِ
مَا أَخَافُ عَلَيْكُمْ أَنْ
تُشْرِكُوا بَعْدِي، وَلَكِنِّي أَخَافُ عَلَيْكُمْ أَنْ
تَنَافَسُوا فِيهَا
-
Aur Qasam ALLAAH Ki Mujhey Is Ka Darr Nahin Ke Meyrey Ba’d
Tum SHIRK Karogey BaLkeh Is Ka Darr Hai Ke Tum Loag Dunya HaasiL Karney Mein
Rughbat Karogey.” (Nateejah Ye Ke Aakhirat Se GhaafiL Ho Jaaogey)
-
Bukhaaree (6426): http://sunnah.com/bukhari/81/15
-
WAZAAHAT: HaaLaankeh Nabi Kareem (صلّى اللّٰه
عليه و سلّم) Ne Ye Baat Apney Sahaabah Karaam (رضي اللّٰه عنهم)
Ke Muta’LLiQ Farmaai Thee, Qiyaamat Tak Aaney WaaLi Ummat Ke Muta’LLiQ Nahin.
Is Baat Ko Mazeed Teen (3) Ahaadees Se Samajhtey Hain Jin Mein Ummat Mein SHIRK
Ka Saboot MiLta Hai:
-
1st: RasooL ALLAAH (صلّى
اللّٰه عليه و سلّم)
Ne Farmaaya: “Meyrey RABB Ki Taraf Se Aek
(1) Aaney WaaLa Meyrey Paas Aaya Aur Mujhey Aadhee (half) Ummat Jannat Mein
DaakhiL Karney Aur Shafaa’at Ke Darmiyaan Ikhtiyaar Diya Tou Mainey Shafaa’at
Ko Ikhtiyaar Kiya Aur Ye (Shafaa’at) Har Us Shakhs Ke Liey Hai Jo Is HaaL Mein
Maraa Ke Us Ne ALLAAH Ke Saath Kisi Ko Shareek Na Tahraaya.”
-
Tirmizee, Hadees [Saheeh] (2441): http://sunnah.com/urn/726230
-
TASHREEH: Jab Tak Aadmee Mein Aek Zarrah SHIRK Ka BaaQee
Hai Woh Shafaa’at Ka MustahaQQ Nahin Aur Nabi (صلّى
اللّٰه عليه و سلّم)
Shafee’uL-Mushrikeen Nahin Hain.
-
2nd: RasooL ALLAAH (صلّى
اللّٰه عليه و سلّم)
Ne Farmaaya: “Har Nabi Ki Aek (1) Du’aa Hai Jo Zaroor QubooL Hoti Hai Tou Har
Aek (1) Nabi Ne JaLdee Kar Ke Woh Du’aa Maang Lee (Dunya Hi Mein) Aur Mainey
Apni Du’aa Uthaa Rakhi Hai Qiyaamat Ke Din Ke Waastey Apni Ummat Ki Shafaa’at
Ke Liey Aur ALLAAH Chaahey Tou Meyri Shafaa’at Har Aek (1) Ummaatee Ke Liey
Hogi Basharteykeh Woh SHIRK Par Na Maraa Ho.”
-
MusLim (491 or 199 a): http://sunnah.com/muslim/1/399
-
3rd: Nabi (صلّى
اللّٰه عليه و سلّم)
Ne Farmaaya: Qiyaamat Tab Tak Nahin Aaeygi Jab Tak Meyri Ummat Mein Se Kuch
QabaaiL (QabeeLey) Mushrikon Ke Saath Jaakar Na MiL Jaaein Aur But (Idols)
Parastee Ikhtiyaar Na KarLein.”
-
Tirmizee, Hadees [Saheeh] (2219):
http://sunnah.com/tirmidhi/33/62
No comments:
Post a Comment