"VALENTINE'S DAY KE MUTALIQ NAUJAWAN NASAL KE IQTALAFAT KE JAWABAT"
Facebook, aur deegar internet forums pe aik taraf bauhat se Muslim naujawan josh o jazbay k saath Valentines day ki shiddat se MUKHAALFAT kartay nazar aa rahay hein tou dusri taraf utni hi shuddat se hum Musalmaanon mein se hi bauhat se log in se behes kartay bhi nazar aa rahay hein, aur valentines day ko bura bhala kehnay per unhein tung-nazar honay k taanay bhi mil rahay hein.
Ye nukta peish kia ja raha hai k kia Islam apnay shauhar, biwi, maa baap aur bachon waghaira se muhabbat karnay se mana karta hai?
Jub ALLAH in muhabbaton ya un k izhaar se naraaz nahin hota tou phir valentines day ki itni mukhaalfat kyun!?
Is tarah har saal ki tarah ye na khatm honay waali behes, is saal bhi zor o shor se jaari hai.
Is article mein Muslim naujawanon k masaail ki bunyad per Valentines Day k baaray mein chand fikri nukaat peish kiay ja rahay hein.
-----------------------------------
Kia Khush hona Gunaah hai?
-----------------------------------
Is baat ka jawaab seedha seedha Haan ya Na mein nahin dia ja sakta.
Is maslay ko samajhnay k liay humein do tarah ki khushi ki taraf tawajjo karni ho gi.
1. Halaal Khushi.
2. Haraam Khushi.
* Halaal Khushiaan wo hein jin mein ALLAH ki reza shaamil ho, aur wo Nabi Kareem (Sallalahu Alaihi Wassalam) aur Sahaba (RadiAllahu Anhum) ki Sunnat se saabit hon.
* Haraam Khusiyaan wo Jin mai ALLAH ki raza shamil na ho, aur na hi wo Nabi kareem (Sallalahu Alaihi Wassalam) aur Sahaba (RadiAllahu Anhum) ki sunnat se saabit ho.
Is Baat se pta chalta hai ke "Valentine's Day" ki Islam mai koi haqiqat nahi aur ye din Haraam Kam karne ki taraf uksata hai tou is din mai Khushi manane walon ko Allah ki raza kaise haasil ho sakti hai?
Jinhon ne gunaah kia, wo tou gunaah-gaar huay, lakin saath mein jis jis ne dekha, aur usay roknay k liay kuch na kia, ya aisi mehfil se uth kar nahin gaya, ya aisi mehfil se dil mein bhi nafrat aur ghussa na kia, tou wo bhi gunaah-gaar hua.
Dil se kisi cheez ko bura samjhnay ko Deen ne eemaan ka sub se kamzor darja qarar dia hai, aur jo dil se bhi bura na samjhay usay chalti phirti Laash se tabeer kia gaya hai.
* Agar Valentines ka matlab "Mohabbat" hai tou Mian Biwi apni muhabbat k izhaar k liay gheir-Muslimon se lia gaya din kyun manaayen? Har roz apnay amal, aur chotay chotay tohfon k zariay is ka izhaar kyun na karein?
* Kia Islaami saal mein bauhat se mubarak aur khushi k din nahin, jin mein hum apnay Maa Baap, aur deegar logon se pyar o muhabbat ka izhaar khaas taur per ker sakein? Maslan Eid, Ramadan etc
* Isi tarah agar muhabbat ka izhaar bauhat zaruri hai, tou Islam "Apne rishtedaron aur islami behan bhaiyon" ko khaana khilaany aur daawat denay ko bauhat pasand karta hai.
*Agar Hum Musalman bhi is tarah dunya ka har wo din mananay lagay jis mein sharyee aitbaar se bauhat se manfi pehloo shaamil hein, tou ISLAM aur KUFR, HAQ o BAATIL ki jung kon laray ga? HAQ aur BAATIL ko tou hum khud in tehwaaron k zariay mila rahay hein.
*Wo jo hamari maali madad k mustahiq hon, un k maangay baghair un ki zaruraton ka khayaal karna, hamari ahem akhlaaqi aur deeni zimmaydaarion mein se hai, aur is zimmay-daari ko pura karna hi MUHABBAT hai. Is muhabbat ko tou hum bhool jate hain..
Apni muhabbaton ko, chahay wo maal o daulat aur deegar khuwahishaat se hon, ya Insaanon se, ko "REZA-e-ILAAHI" aur "HALAAL aur HARAAM" k paimaanay per jaanchain, aur agar zameer usay reza-e-Ilahi mannay se inkaar kar de, tou usay ALLAH ki muhabbat, khususan Allah k liay chor dein.
Agar apni zaati khuwahish k khilaaf aisa karna mein kamyab ho gaye tou hum ne Allah se muhabbat ka haq ada kar dia, aur agar zaati khuwahishaat aur hawas ko ALLAH ki reza per muqaddam kar dia tou....!
"Duniya bhi gai aur Akhirat bhi gai"
"Aur jo shakhs apne Rabb ke samne khara honay se dar gaya ouske liye 2 jannatein hain"
Surah Ar Rahman (Verse No.46)
No comments:
Post a Comment